ye aish-o-tarab ke matwale be-kar ki baaten karte hain
pael ke ghamon ka ilm nahin jhankar ki baaten karte hain
nahaq hai hawas ke bandon ko nazzara-e-fitrat ka dawa
aankhon mein nahin hai betabi didar ki baaten karte hain
kahte hain unhin ko dushman-e-dil hai nam unhin ka naseh bhi
wo log jo rah kar sahil par manjdhaar ki baaten karte hain
pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahin kuchh naz-e-safar
chalne ka jinhen maqdur nahin raftar ki baaten karte hain
Ghazal
Ye aish-o-tarab ke matwale be-kar ki baaten karte hain
Shakeel Badayuni