اردو हिंदी
Ye abr-o-baad ye tufan ye andheri raat | Shaahi Shayari
ye abr-o-baad ye tufan ye andheri raat

Ghazal

Ye abr-o-baad ye tufan ye andheri raat

Salam Machhli shahri

;

ye abr-o-baad ye tufan ye andheri raat
ab ek moD pe aa ja rafiq-e-rah-e-hayat

hawa ke dosh pe mauj-e-ajal KHiraman hai
mariz-e-dahr pe tari hain naza ke lamhat

hayat ek taKHayyul nahin haqiqat hai
mujhe batai hai aadam ke azm ne ye baat

mere rafiq mohabbat ke din bhi aaenge
wahi hasin sawera wahi kunwari raat

wahi gulab ke mausam wahi sharab ke daur
wahi sharir ghaTaen wahi bhari barsat

sunai jaegi koyal ko ham-nawa kar ke
hasin phulon ko bhaunron ki ek raaz ki baat

ghazal ki Dal saja kar chaman ki dulhan ko
'salam' nazr karega suhag ki saughat