ye aarzu thi use aaina banate hum
aur aaine ki hifazat mein TuT jate hum
tamam umr bhaTakte rahe ye kahte hue
ki ghar banate sajate use bulate hum
har aadmi wahan masruf qahqahon mein tha
ye aansuon ki kahani kise sunate hum
bigaDe baiThe the taqdir apne hathon se
hatheliyon ki lakiren kise dikhate hum
KHuda ne itna karam aur kar diya hota
ki jis ne zaKHm diye us ko bhul jate hum
kuchh is sabab se bhi ye zaKHm la-dawa Thahre
har ek shaKHs ka ehsan nahin uThate hum
tu apne gham se hi KHali kahan hai ai 'tariq'
jo tere pas kabhi aa ke baiTh jate hum
Ghazal
Ye aarzu thi use aaina banate hum
Tariq Qamar