ye aansu kis liye rukta nahin hai
samundar to kahin pyasa nahin hai
kahin pathra na jaen us ki aankhen
bichhaD kar mujh se wo roya nahin hai
qayamat dil pe na guzre to kahna
tumhaara dil abhi TuTa nahin hai
salamat hain sabhi kamron ke shishe
koi patthar abhi aaya nahin hai
nikal jao kahin tum ai parindo
hawa ne rasta roka nahin hai
kinara hun main ek sukhi nadi ka
koi dariya mujhe samjha nahin hai
adab se is liye hai dur 'rahi'
buzurgon mein abhi baiTha nahin hai
Ghazal
Ye aansu kis liye rukta nahin hai
Rashid Rahi