ye aansu be-sabab jari nahin hai
mujhe rone ki bimari nahin hai
na puchho zaKHm-ha-e-dil ka aalam
chaman mein aisi gul-kari nahin hai
bahut dushwar samjhana hai gham ka
samajh lene mein dushwari nahin hai
ghazal hi gungunane do ki mujh ko
mizaj-e-talKH-guftari nahin hai
chaman mein kyun chalun kanTon se bach kar
ye aain-e-wafadari nahin hai
wo aaen qatl ko jis roz chahen
yahan kis roz tayyari nahin hai

Ghazal
Ye aansu be-sabab jari nahin hai
Kaleem Aajiz