ye aankhen hain to sar kaTa kar rahengi
kisu se hamein yan laDa kar rahengi
agar ye nigahen hain kam-baKHt apni
to kuchh hum ko tohmat laga kar rahengi
ye saffakiyan hain to jun murgh-e-bismil
hamein KHak o KHun mein mila kar rahengi
kiya hum ne malum nazron se teri
ki nazren tari hum ko kha kar rahengi
ye aaen hain to ek din aasman ko
jala kar khapa kar uDa kar rahengi
agar gardishen aasman ki yahi hain
to hum ko bhi gardish mein la kar rahengi
ye aankhen hain to ek din 'mushafi' ko
nigahon ke andar fana kar rahengi
Ghazal
Ye aankhen hain to sar kaTa kar rahengi
Mushafi Ghulam Hamdani