ye aankh tanz na ho zaKHm-e-dil hara na lage 
mujhe qarar to ho ya use haya na lage 
fishaar-e-jaan ho to kaifiyat-e-mukammal ho 
wo iztirab to ho iztirab sa na lage 
wo ru-ba-ru ho to aaraish-e-bayan bhi na ho 
ki main kahun to kisi aur ka kaha na lage 
muamalat-e-mohabbat mizaj rakhte hain 
tabiaten hon jo yaksan to fasla na lage 
KHizan-rasida chaman mein bhi jhulti ho bahaar 
gulon se rang kali se mahak juda na lage 
yahi to hoti hai waz-e-shaguftan-e-mahtab 
miyan-e-abr ho ya aasman khula na lage 
wahi to dard hai jo dard-e-ma-siwa samjhe 
rifaqaten hon to aalam nigar-KHana lage 
alam to KHair alam hai ki paedar nahin 
wabaal hai jo KHushi bhi gurez-pa na lage 
ulajh rahi hain KHayali uDan se aankhen 
kahin nawishta-e-diwar be-sada na lage
        Ghazal
Ye aankh tanz na ho zaKHm-e-dil hara na lage
Syed Amin Ashraf

