ye aankh nam thi zaban par magar sawal na tha
hum apni zat mein gum the koi KHayal na tha
saja liya hai hatheli pe hum ne us ka nam
is liye to bichhaD jaane ka malal na tha
agarche mo'tabar Thahre the hum zamane mein
hamare pas to aisa koi kamal na tha
usi ke sath the hum us se be-KHabar rah kar
agarche rabta us se koi bahaal na tha
tere hi nam pe ye zindagi kaTi sari
agarche tera kabhi bhi hamein visal na tha
Ghazal
Ye aankh nam thi zaban par magar sawal na tha
Tahira Jabeen Tara