اردو हिंदी
Ye aalam-e-wahshat hai ki dahshat ka asar hai | Shaahi Shayari
ye aalam-e-wahshat hai ki dahshat ka asar hai

Ghazal

Ye aalam-e-wahshat hai ki dahshat ka asar hai

Riyasat Ali Taj

;

ye aalam-e-wahshat hai ki dahshat ka asar hai
daman ki KHabar hai na gareban ki KHabar hai

dil toDne wale ye tujhe kuchh bhi KHabar hai
allah ka ghar hai are allah ka ghar hai

dekhoge jo haalat pe thoDi si nazar hai
har shaKHs ghulam-e-asar-o-banda-e-zar hai

do-chaar qadam chal ke Thaharte nahin rahraw
tazhik-e-manazil hai ye tauhin-e-safar hai

kitne hi ulum is mein hain poshida-o-darkar
ye sher-o-suKHan khel nahin 'taj'-e-hunar hai