ye aaj aae hain kis ajnabi se des mein hum
taDap gai hai nazar chashm-e-ashna ke liye
wo hath jin se tha kal chaak daman-e-aflak
wo hath aaj uThane paDe dua ke liye
ye main ne mana judai mera muqaddar hai
magar ye baat na munh se kaho KHuda ke liye
ye rah-rau the kabhi rah-e-zindagi ka suragh
ye rah-rau ki bhaTakte hain rahnuma ke liye
Ghazal
Ye aaj aae hain kis ajnabi se des mein hum
Sufi Tabassum