ye aagahi hai jo karti hai mujh ko zat mein gum
phir is ke baad main hota hun shash-jahat mein gum
ye kaenat meri jaan qufl-e-abjad hai
main kholta hun ise kar ke mumkinat mein gum
ye daere hain tumhein phir se qaid kar lenge
fana se nikle to ho jaoge sabaat mein gum
main karbala hun mujhe dekh meri qamat dekh
zamana kar nahin sakta mujhe furaat mein gum
teri judai ka nilam alag se rakkha hai
kiya nahin use duniya ke zewraat mein gum
mera buDhapa meri ruh ki talash mein hai
meri jawani badan ke lawazimat mein gum
main ilm hun mujhe tasKHir karna aata hai
wo jahl tha jo hua teri kaenat mein gum
Ghazal
Ye aagahi hai jo karti hai mujhko zat mein gum
Muqsit Nadeem