ye aag mohabbat ki bujhae na bujhe hai
bujh jae jo ek bar jalae na jale hai
TuTa jo bharam rishton mein ehsas-o-wafa ka
sau tarah nibhao to nibhae na nibhe hai
KHwabon ka mahal yun hi banaya na karo tum
tamir jo ho jae girae na gire hai
dahliz pe dil ki jo qadam rakkhe hai koi
Tik jae hai aise ke hilae na hile hai
hai bagh-e-mohabbat mein wafa ka jo hasin gul
murjha jo gaya phir to khilae na khile hai
dil chiz hai aisi ki ujaD jae jo ek bar
phir lakh basao to basae na base hai
kyun naqsh liye chashm-e-tasawwur mein phiro ho
ho jae ye gahra to miTae na miTe hai
koshish to bahut ki hai ki dhul jae har ek aks
ek shakl hai aisi ki bahae na bahe hai
dekh aai hain shayad kahin mahbub ko apne
aankhon ki chamak aaj chhupae na chhupe hai
baaton man jo kar jae hai iqrar-e-mohabbat
phir baat koi us se banae na bane hai
har-gam qadam apna sambhaale rakho 'asra'
daman pe laga dagh chhuDae na chhuTe hai
Ghazal
Ye aag mohabbat ki bujhae na bujhe hai
Asra Rizvi