yaqin se phuTti hai ya guman se aati hai
ye dil mein raushni aaKHir kahan se aati hai
makan jale hain makinon ke qatl-e-am ke baad
mahak lahu ki umanDte dhuan se aati hai
payam lati hai auj-e-firaq ka mujh tak
hawa jo mil ke mere mehrban se aati hai
qarar deti hai wo aaine ko manzil-e-did
jo gard uD ke abhi karwan se aati hai
ziya-e-roz-e-azal zulmat-e-shaban-e-giran
faza hai jo bhi isi aasman se aati hai
hamin na ja sake sajde mein wasl pane ko
sada to ab bhi 'taraaz' aastan se aati hai
Ghazal
Yaqin se phuTti hai ya guman se aati hai
Rashid Taraz