yaqin ne mujh ko asir-e-guman na rahne diya
ki us ne rabt koi darmiyan na rahne diya
meri nazar hi samundar ki aaKHiri had thi
meri thakan ne mujhe par-fishan na rahne diya
kisi ne kashti utari to thi samundar mein
magar hawa ne koi baadban na rahne diya
koi to barf-ba-kaf dasht ki taraf aaya
kisi ne bahr mein pani rawan na rahne diya
har ek lafz mein yun kar diya lahu shamil
ki dastan ko faqat dastan na rahne diya
'najib' kis tarah jagen ki in andheron ne
sahar ka tara sar-e-asman na rahne diya

Ghazal
Yaqin ne mujhko asir-e-guman na rahne diya
Najeeb Ahmad