yaqin mar gaya mera guman bhi nahin bacha
kahin kisi KHayal ka nishan bhi nahin bacha
KHamoshiyan tamam gharq ho gain KHalaon mein
wo zalzala tha sahibo bayan bhi nahin bacha
nadi ke sar pe jaise intiqam sa sawar tha
ki bandh fasl pul bahe makan bhi nahin bacha
hujum se nikal ke bach gaya udhar wo aadmi
idhar hujum ke main darmiyan bhi nahin bacha
zamin darak gai sulagti bastiyon ki aag se
ghubar wo uTha ki aasman bhi nahin bacha
bikharti-TuTti fasil niw ko hila gai
ki dagh zat par tha KHandan bhi nahin bacha
tamam mushkilon ko hum ne nind mein daba diya
khula ye phir ki koi imtihan bhi nahin bacha
Ghazal
Yaqin mar gaya mera guman bhi nahin bacha
Saurabh Shekhar

