اردو हिंदी
Yaqin ki saltanat thi aur sultani hamari | Shaahi Shayari
yaqin ki saltanat thi aur sultani hamari

Ghazal

Yaqin ki saltanat thi aur sultani hamari

Hammad Niyazi

;

yaqin ki saltanat thi aur sultani hamari
damakti thi dua ki lau se peshani hamari

mahakta tha ghane peDon se virana hamara
jahan-e-ab-o-gil par thi nigahbani hamari

hamare jism ke TukDe hue raunde gae hum
magar zinda rahi aankhon mein hairani hamari

hum is KHatir teri taswir ka hissa nahin the
tere manzar mein aa jae na virani hamari

bahut lambe safar ki gard chehron par paDi thi
kisi ne dasht mein surat na pahchani hamari

kisi ne kab bhala jaana hamara karb-e-wahshat
kisi ne kab bhala jaani pareshani hamari