yaqin ki had mein hun ya warta-e-guman mein hun
mujhe KHabar hai ki main hun par imtihan mein hun
wo par sameT ke KHush hai ki pa gaya mujh ko
main zaKHm kha ke hun nazan ki aasman mein hun
koi to tha ki jo patthar bana gaya chhu kar
mujhe batao main kis shaKHs ki aman mein hun
hawa ki aankh se guzrun to marka Thahre
misal-e-tir abhi halqa-e-kaman mein hun
hun muntazir kisi lams-nigah ka kab se
main ek kitab ki surat kisi dukan mein hun
badan hai barf magar jal raha hun lakDi sa
main apne ghar mein hun ya ghair ke makan mein hun
na kar talash ki sahil nahin mera maskan
main har ghaDi teri kashti ke baadban mein hun
Ghazal
Yaqin ki had mein hun ya warta-e-guman mein hun
Murtaza Ali Shad