اردو हिंदी
Yaqin ki had ko ja pahuncha jo pahle tha guman apna | Shaahi Shayari
yaqin ki had ko ja pahuncha jo pahle tha guman apna

Ghazal

Yaqin ki had ko ja pahuncha jo pahle tha guman apna

Qamar Abbas Qamar

;

yaqin ki had ko ja pahuncha jo pahle tha guman apna
wahi mujrim nikal aaya jo Thahra raaz-dan apna

meri hasti ka ab ehsas KHud mujh mein nahin baqi
dar-o-diwar se main puchhta hun KHud nishan apna

dayar-e-ghair mein ummid wo bhi dil-nawazi ki
tasalli dil ko mil jati jo hota ham-zaban apna

tumhaare hijr mein jaanan ye kaisa haal hai mera
na zat-e-la-makan apni na imkan-e-makan apna

hai maqtal mein meri gardan pe KHanjar us pari-wash ka
yahi tha mashghala us ka yahi tha imtihan apna

tujhe sahra-nawardi se 'qamar' kitni mohabbat hai
jala Dala hai KHud hathon se apne aashiyan apna