yaqin ke baad ye dekha ki phir guman TuTe
wo aandhiyan thin ki sare hi saeban TuTe
fasil-e-shahr ki Dalin jinhon ne buniyaaden
wo hath dastaken dete hue yahan TuTe
phir ek bar laDai thi apni suraj se
hum aainon ki tarah phir yahan wahan TuTe
hamare mausam-e-dil ko nazar ye kis ki lagi
ye kin hawaon mein rishton ke aashiyan TuTe
na sirf ye ki giren un pe bijliyan sidhi
talash-e-haq ke asiron pe aasman TuTe

Ghazal
Yaqin ke baad ye dekha ki phir guman TuTe
Najmus Saqib