yaqin kaun karega guman pe aaya hun
main apne aap se chhup kar yahan pe aaya hun
mujhe bhi aql pareshan karti rahti hai
nahin nahin se guzar kar main han pe aaya hun
mujhe wo dekh ke hairan kyun nahin hoga
zamin oDh ke main aasman pe aaya hun
ye baat tu hi bata kis tarah bataun tujhe
main dil ke raste teri zaban pe aaya hun
na jaane kab se nahin mil saka hun main KHud se
main KHud se milne tere aastan pe aaya hun
ye iztirab haqiqat mein iztirab nahin
KHushi KHushi main is aah-o-fughan pe aaya hun
mujhe talash na kar tu yahan wahan 'momin'
nazar uTha ki tere KHwab-dan pe aaya hun
Ghazal
Yaqin kaun karega guman pe aaya hun
abdurrahman momin

