اردو हिंदी
Yaqin jis ka hai wo baat bhi guman hi lage | Shaahi Shayari
yaqin jis ka hai wo baat bhi guman hi lage

Ghazal

Yaqin jis ka hai wo baat bhi guman hi lage

J. P. Saeed

;

yaqin jis ka hai wo baat bhi guman hi lage
wo mehrban hai lekin bala-e-jaan hi lage

hum itni martaba guzre hain aazmaish se
wo sidhi baat bhi puchhe to imtihan hi lage

taras gae hain ki khul kar kisi se baat karen
har aashna hamein ghairon ka raazdan hi lage

ho jaise kaifiyat-e-dil ka aaina manzar
wo ham-safar ho to sahra bhi gulistan hi lage

main jaise markazi kirdar hun kahani ka
koi fasana ho wo meri dastan hi lage

tere KHayal se nisbat ka ab ye aalam hai
kahin jhukaun jabin tera aastan hi lage

mere watan ke sabhi log chand-tare hain
zamin us ki mujhe jaise aasman hi lage

'said' baad-e-samaat nawa-e-mutrib hai
KHushi ka git bhi ab naghma-e-fughan hi lage