yaqin hai ki wo meri zaban samajhta hai
magar zaban ke ishaare kahan samajhta hai
faraaz-e-dar ko jo aasman samajhta hai
use bhi kab ye alu-e-makan samajhta hai
use pata hai ki rukti nahin hai chhanw kabhi
to phir wo abr ko kyun saeban samajhta hai
tilism-e-KHwab hua pash pash kab ka magar
haqiqaton ko wo parchhaiyan samajhta hai
use ye rishta-e-ab-o-sarab la-yani
ki wo zuhur o KHifa ki zaban samajhta hai
ye dil ki aag bujhi hai ki sham-e-jaan hui gul
jo 'mir' parda-e-shab ko dhuan samajhta hai
tamam lafz khaDe chiKHte hain aur 'salim'
KHamoshiyon ko wafur-e-bayan samajhta hai
Ghazal
Yaqin hai ki wo meri zaban samajhta hai
Saleem Shahzad