yaqin-e-wada nahin tab-e-intizar nahin
kisi tarah bhi dil-e-zar ko qarar nahin
shabon ko KHwab nahin KHwab ko qarar nahin
ki zeb-e-dosh wo gesu-e-mushk-bar nahin
kali kali mein samai hai nikhat-e-salma
shamim-e-hur hai ye bu-e-nau-bahaar nahin
kahan kahan na hue mah-ru juda mujh se
kahan kahan meri ummid ka mazar nahin
ghamon ki fasl hamesha rahi tar o taza
ye wo KHizan hai ki sharminda-e-bahaar nahin
bahaar aai hai aise mein tum bhi aa jao
ki zindagi ka ba-rang-e-gul e'tibar nahin
kisi ki zulf-e-pareshan ka saya-e-raqsan hai
faza mein baal-fishan abr-e-nau-bahaar nahin
sitara-war wo pahlu mein aa gae shab ko
sahar se kah do ki mahfil mein aaj bar nahin
gul-e-fasurda bhi ek turfa husn rakhta hai
KHizan ye hai to mujhe hasrat-e-bahaar nahin
har ek jam pe ye naghma-e-hazin saqi
ki is jawani-e-fani ka e'tibar nahin
KHuda ne baKHsh diye mere dil ko gham itne
ki ab main apne gunahon pe sharmsar nahin
chaman ki chandni raaten hain kis qadar viran
ki is bahaar mein wo mah-e-nau-bahaar nahin
sharik-e-soz hain parwane shama ke 'aKHtar'
hamare dil ka magar koi gham-gusar nahin
Ghazal
Yaqin-e-wada nahin tab-e-intizar nahin
Akhtar Shirani