yaqin banata hai koi guman banata hai
jo aadmi hai alag dastan banata hai
shikast karta hai zanjir-e-KHana-o-mehrab
aur ek halqa-e-awargan banata hai
gil-e-wajud se karta hai kasb-e-kuza-e-jaan
KHumar-e-sud mein lekin ziyan banata hai
kamal be-KHabari hai agar baham ho jae
magar ye zist ko aasan kahan banata hai
pas-e-charagh irada koi to hai 'azar'
jo mere shoala-e-dil ko dhuan banata hai
Ghazal
Yaqin banata hai koi guman banata hai
Azar Tamanna