yaqin aaj bhi wahm-o-guman mein gum hai
zamin jaise kahin aasman mein gum hai
ye aaftab bhi kis zawiye se Dhalta hai
zara si dhup liye aan-ban mein gum hai
dariche dur hue jate hain makinon se
saba bhi sirf tawaf-e-makan mein gum hai
main ek but hun ajaib-gharon mein rakkha hua
mera wajud meri dastan mein gum hai
natija phir se kahin multawi na ho jae
mera sawal tere imtihan mein gum hai

Ghazal
Yaqin aaj bhi wahm-o-guman mein gum hai
Muzaffar Abdali