اردو हिंदी
Yam-ba-yam phaila hua hai pyas ka sahra yahan | Shaahi Shayari
yam-ba-yam phaila hua hai pyas ka sahra yahan

Ghazal

Yam-ba-yam phaila hua hai pyas ka sahra yahan

Himayat Ali Shayar

;

yam-ba-yam phaila hua hai pyas ka sahra yahan
ek sarab-e-tishnagi hai mauja-e-sahba yahan

raushni ke zawiyon par munhasir hai zindagi
aap ke bas mein nahin hai aap ka saya yahan

aate aate aankh tak dil ka lahu pani hua
kis qadar arzan hai apne KHun ka sauda yahan

tere mere darmiyan hail rahi diwar-e-harf
rakh liya ek baat ne har baat ka parda yahan

dekhiye to ye jahan hai ek jahan-e-ab-o-gil
sochiye to zarre zarre mein hai ek duniya yahan