yaksu bhi lag raha hun bikharne ke bawajud
puri tarah mara nahin marne ke bawajud
ek dhup si tani hui baadal ke aar-par
ek pyas hai ruki hui jharne ke bawajud
us ko bhi yaad karne ki fursat na thi mujhe
masruf tha main kuchh bhi na karne ke bawajud
pahla bhi dusra hi kinara ho jis tarah
haalat wahi hai par utarne ke bawajud
apni taraf hi ruKH tha wahan wardat ka
ilzam us ke nam pe dharne ke bawajud
hairan hun mujh mein itni ye himmat kahan se aai
kar hi gaya hun kaam jo Darne ke bawajud
hona paDa na hote hue bhi mujhe yahan
kuchh yaad rah gaya hun bisarne ke bawajud
jaisa bhi ye safar ho zara ghaur kijiye
kaisa rawan-dawan hun Thaharne ke bawajud
nikla nahin hai koi natija yahan 'zafar'
karne ke bawajud na bharne ke bawajud
Ghazal
Yaksu bhi lag raha hun bikharne ke bawajud
Zafar Iqbal