yaksan hai dhuan jalte KHarabe ki mahak tak
sannaTe ka ghar se diya sunsan saDak tak
pahle hi kaha tha mere daman se pare rah
aa hi gaya tu bhi unhin shoalon ki lapak tak
ab main hun faqat aur koi hanpta sahra
aai thi mere sath un ashkon ki kumak tak
do kashtiyan kaghaz ki baha len chalo hum tum
phir to hamein milna nahin KHwabon ki palak tak
itni to saza saKHt na aati hui rut de
ruKHsat ho jo bite hue mausam ki kasak tak
diwar hi nikli pas-e-diwar fusun rang
kohra hi bikharta mila chehron ki dhanak tak
indar se sulagte ho musawwir jo khanDar se
kho aae ho ja kar kahan aankhon ki chamak tak
Ghazal
Yaksan hai dhuan jalte KHarabe ki mahak tak
Musavvir Sabzwari