yak Thaar u nigar khaDi thi nazar paDi
yak bul-hawas ke hat chaDi thi nazar paDi
kaswat newi nayan mein KHumari badan pe jot
laT khis paTi sun mukh pe paDi thi nazar paDi
moti sun hor sune se na jaanon diya hai kun
bhar sab apas ke tan kun muDi thi nazar paDi
baalan mein tel bar mein gulan bhar gala sandal
tambul ki adhar pe dhaDi thi nazar paDi
'bahri' ab us pari ki parat kun patiya nako
bazi kuchh aur bhant khaDi thi nazar paDi
Ghazal
Yak Thaar u nigar khaDi thi nazar paDi
Qazi Mahmud Behri