yak raat main gaya tha rindan ke anjuman mein
bole ki ai hawai yu nukta ruk tu man mein
wahdat ke mulk miyane nin ghair ko thakana
ain-e-KHuda samajh tu jo hai is anjuman mein
kya saqi-o-mughanni kya jam kya surahi
ghair-e-KHuda nako kah gar hai sharab dan mein
kya lala kya yu sausan kya nargis-o-saman kya
hai ucha fil-haqiqat gul hai agar chaman mein
u nukta kar yaqin main har chiz ko jo dekhya
begana kin disya nin bin dost chaukdan mein
bin zat haq disya nin yak zat do jahan mein
bin ism haq sunya nin yak bol yak dahan mein
ghaflat kun nen hai jaga kan sun achhegi ghaflat
zakir tamam aalim hai marifat ke fan mein
hai ishq u KHuda ka gar ishq hai jawan mein
hai husn u usi ka gar husn hai mahan mein
ai mahram-e-KHudai yak zarra ghaur kar dek
nukte bhare hain ne ke 'qurbi' ke har suKHan mein
Ghazal
Yak raat main gaya tha rindan ke anjuman mein
Qurbi Velori