yak nala-e-asihqana hai yan
yak zaKHma ba-sad tarana hai yan
mazkur rahe hai dard-o-gham ka
din raat yahi fasana hai yan
phenke hai wo tir-e-ghamza mujh par
samjhe hai ki dil nishana hai yan
gar apni badi ke sar ko kaTe
begana bhi pur-yagana hai yan
yak jumbish-e-shauq dil ko bas hai
kya hajat-e-taziyana hai yan
jo aae hai jhuk ke jae hai wo
goya ki sharab-KHana hai yan
viran hue chaman se nikle
hum samajhte the aashiyana hai yan
aankhen jo bhari hi aatiyan hain
pani ka magar KHazana hai yan
diwan ki mere tu sair to kar
ai 'mushafi' ek zamana hai yan
bulbul hai chaman hai sarw-o-gul hai
saqi hai mai-e-mughana hai yan
Ghazal
Yak nala-e-asihqana hai yan
Mushafi Ghulam Hamdani