yak do jam aur bhi de tu saqi
na rahe dil mein aarzu saqi
meri taskin na hogi saghar se
munh se mere laga subu saqi
raat o din mai-kashon ko rahti hai
teri hi yaad o justuju saqi
rind-e-muflis ko de hai zyaad sharab
bhai mujh ko teri ye KHu saqi
aah tujh bin hain zar-o-nalan hum
bhuli masti ki haw-hu saqi
shisha-e-mai ki tarah se hum aaj
rakhte hain girya dar-gulu saqi
kisi ke aage misl-e-saghar hum
late hain dast-e-arzu saqi
late hain misl-e-shisha-e-baada
tere hi aage sarfaru saqi
ro nahin us ko bazm-e-mastan mein
jis ke tain tu na dewe ru saqi
de 'jahandar' ko wo mai jis ka
howe gul ka sa rang-o-bu saqi
Ghazal
Yak do jam aur bhi de tu saqi
Meerza Jawan Bakht Jahandar