اردو हिंदी
Yak-ba-yak shorish-e-fughan ki tarah | Shaahi Shayari
yak-ba-yak shorish-e-fughan ki tarah

Ghazal

Yak-ba-yak shorish-e-fughan ki tarah

Faiz Ahmad Faiz

;

yak-ba-yak shorish-e-fughan ki tarah
fasl-e-gul aai imtihan ki tarah

sehn-e-gulshan mein bahr-e-mushtaqan
har rawish khinch gai kaman ki tarah

phir lahu se har ek kasa-e-dagh
pur hua jam-e-arghawan ki tarah

yaad aaya junun-e-gum-gashta
be-talab qarz-e-dostan ki tarah

jaane kis par ho mehrban qatil
be-sabab marg-e-na-gahan ki tarah

har sada par lage hain kan yahan
dil sambhaale raho zaban ki tarah