اردو हिंदी
Yak-ba-yak manzar-e-hasti ka naya ho jaana | Shaahi Shayari
yak-ba-yak manzar-e-hasti ka naya ho jaana

Ghazal

Yak-ba-yak manzar-e-hasti ka naya ho jaana

Sarvat Husain

;

yak-ba-yak manzar-e-hasti ka naya ho jaana
dhup mein surmai miTTi ka hara ho jaana

subh ke shahr mein ek shor hai shadabi ka
gil-e-diwar zara bosa-numa ho jaana

koi iqlim nahin mere tasarruf mein magar
mujh ko aata hai bahut farman-rawa ho jaana

zisht aur KHub ke ma-bain jalaya main ne
jis gul-e-surKH ko tha shoala-numa ho jaana

chashm ka aaina-KHane mein pahunchna 'sarwat'
dil-e-durwesh ka mail-ba-dua ho jaana