yak-ba-yak hogi siyahi is qadar jati rahi
kya kahen goya siyahi yak sar-e-mu bhi na thi
go safedi mu ki yun raushan hai jun aab-e-hayat
lekin apni to isi zulmat se thi zindagi
dam-ba-dam bazm-e-surur o har ghaDi sair-e-chaman
ishrat-o-aish-o-nashat o KHurmi o tazgi
KHanda-e-shadi se hargiz lab na hote the baham
saghar o mina surud o raqs o KHush-tabi hansi
jam deta tha udhar saqi ba-minnat hath joD
is taraf kya kya lagawaT dilbaron ki thi nai
gul-badan karte the kis kis taur izhaar-e-ishtiyaq
ghuncha-lab milte the sau sau dil mein rakh kar be-kali
koi deta tha mohabbat se gale mein hath Dal
koi deta tha zabardasti se bosa har ghaDi
koi deta tha mohabbat se gale mein hath Dal
koi deta tha zabardasti se bosa har ghaDi
jis taraf the dekhte aish-o-tarab ka josh tha
masti o rindi hawas-bazi o be-andeshgi
aan kar mu ki safedi ne ye kin barbaadiyan
khol din jitni bandhin thin wo hawaen aish ki
qad mein KHam aankhon mein nam chehre pe jhurri rang zard
sar se pa tak saKHt na-KHush manzari bad-haiati
kya tamashe inqalab-e-charKH ke kahiye 'nazir'
dam mein wo raunaq thi aur ek dam mein ye be-raunaqi

Ghazal
Yak-ba-yak hogi siyahi is qadar jati rahi
Nazeer Akbarabadi