yahin kahin koi aawaz de raha tha mujhe
chala to sat samundar ka samna tha mujhe
main apni pyas mein khoya raha KHabar na hui
qadam qadam pe wo dariya pukarta tha mujhe
zamane baad un aankhon mein ek sawal sa tha
ki ek bar palaT kar to dekhna tha mujhe
ye panw ruk gae kyun be-nishan manzil par
yahan se ek naya rasta nikalna tha mujhe
ye zindagi jo tere nam se ibarat thi
ise kuchh aur banana sanwarna tha mujhe
rafiq-e-gardish-e-sayyargan se puchhunga
wo kaun tha jo KHalaon mein DhunDta tha mujhe
tamam tark-e-marasim ke bawajud 'ashfaq'
wo zer-e-lab hi sahi gunguna raha tha mujhe
Ghazal
Yahin kahin koi aawaz de raha tha mujhe
Ashfaq Husain