yahi wafa ka sila hai to koi baat nahin
ye dard tum ne diya hai to koi baat nahin
yahi bahut hai ki tum dekhte ho sahil se
safina Dub raha hai to koi baat nahin
ye fikr hai kahin tum bhi na sath chhoD chalo
jahan ne chhoD diya hai to koi baat nahin
tumhi ne aaina-e-dil mera banaya tha
tumhi ne toD diya hai to koi baat nahin
kise majal kahe koi mujh ko diwana
agar ye tum ne kaha hai to koi baat nahin

Ghazal
Yahi wafa ka sila hai to koi baat nahin
Raaz Allahabadi