اردو हिंदी
Yahi to gham hai wo shair na wo siyana tha | Shaahi Shayari
yahi to gham hai wo shair na wo siyana tha

Ghazal

Yahi to gham hai wo shair na wo siyana tha

Hasan Nayeem

;

yahi to gham hai wo shair na wo siyana tha
jahan pe ungliyan kaTti thin sar kaTana tha

mujhe bhi abr kisi koh par ganwa deta
main bach gaya ki samundar ka main KHazana tha

tamam log jo wahshi bane the aaqil the
wo ek shaKHs jo KHamosh tha diwana tha

pata chala ye hawaon ko sar paTakne par
main reg-e-dasht na tha sang-e-sad-zamana tha

tamam sabza-o-gul the mulazim-e-mausam
kali ka farz hi gulshan mein muskurana tha

mere liye na ye masti na aagahi hai haram
mujhi ko bazm se uThna tha sar uThana tha

wo mere haal se mujh ko parakh rahe the 'hasan'
meri nigah mein guzra hua zamana tha