yahi Thahra ki ab us or jaana bhi nahin hai
ye duji baat wo kucha bhulana bhi nahin hai
bue-e-sad-gul mein bhige ho nahae ho dhanak mein
mohabbat kar rahe ho aur batana bhi nahin hai
darun-e-dil hi rakkho wan hifazat mein rahega
wo ek raaz-e-nahufta jo chhupana bhi nahin hai
na baran hai nahin tufan na jhakkaD hai na sarsar
meri zambil mein ab ek bahana bhi nahin hai
ilaqa sabz hai mera mohabbat ke shajar se
kai sadiyon pe phaila hai purana bhi nahin hai
hawa de aanch dhimi rakh sulagne de junun ko
ye shoala narm rakhna hai jalana bhi nahin hai
agarche dard ki tarsil ka wahid hai bais
junun pesha ne tera gham ganwana bhi nahin hai
ajab ek dhup-chhanw si racha rakhi hai tu ne
nahin hota mera lekin bigana bhi nahin hai
sameTa jae sad-para jigar yaro ki hum ne
tamasha-e-dil-e-KHasta manana bhi nahin hai

Ghazal
Yahi Thahra ki ab us or jaana bhi nahin hai
seemab zafar