اردو हिंदी
Yahi tha waqf teri mahfil-e-tarab ke liye | Shaahi Shayari
yahi tha waqf teri mahfil-e-tarab ke liye

Ghazal

Yahi tha waqf teri mahfil-e-tarab ke liye

Syed Aabid Ali Aabid

;

yahi tha waqf teri mahfil-e-tarab ke liye
charagh-e-dil ki sulagta hai aaj sab ke liye

kabhi main jurat-e-izhaar-e-muddaa to karun
koi jawaz to ho lutf-e-be-sabab ke liye

ufuq se chand ki champa-kali ubharti hai
sajae jate hain zewar nigar-e-shab ke liye

tere gada ne bhi saghar ka nuqrai aanchal
kahin se mang liya duKHtar-e-enab ke liye

tamam umr ba-faiz-e-nigah-e-lala-ruKHan
sanad raha hun ishaaraat-e-chashm-o-lab ke liye

chaman se phul ke dhoke mein chun liye shoale
kaf-e-wafa ke liye daman-e-talab ke liye

kahin jo pursish-e-ahwal par wo mail hon
ki hum ne dil ko sambhaala hua hai jab ke liye

mujhe KHabar hai bahut se mata-e-zauq-e-nazar
dukan-e-kakul-o-ruKHsar-o-chashm-o-lab ke liye

sitara subh ka raushan tha sham se 'abid'
yahi thi maut harifan-e-bazm-e-shab ke liye