yahi samjha hun bas itni hui hai aagahi mujh ko
na ras aaegi shayad zindagi-bhar zindagi mujh ko
mila ranj-o-alam mein bhi surur-e-zindagi mujh ko
nazar aati hai aksar tirgi mein raushni mujh ko
na ab ehsas-e-ranj-o-gham na ehsas-e-KHushi mujh ko
ye kis markaz pe le aai meri diwangi mujh ko
chhalak aae hain aansu jab bhi aai hai hansi mujh ko
sunati hi rahi paigham-e-gham meri KHushi mujh ko
na dena tha agar kuchh iKHtiyar-e-zindagi mujh ko
to kyun ai KHaliq-e-alam banaya aadmi mujh ko
siyah-baKHti hui hai saya-afgan is qadar mujh par
nazar aati hai har-su tirgi hi tirgi mujh ko
'jalis' ehsan kya kam hai ye meri bad-nasibi ka
tamiz apne parae ki to aaKHir ho gai mujh ko
Ghazal
Yahi samjha hun bas itni hui hai aagahi mujhko
Brahma Nand Jalees