yahi nahin ki faqat pyar karne aae hain
hum ek umr ka tawan bharne aae hain
wo ek rang mukammal ho jis se tera wajud
wo rang hum tere KHake mein bharne aae hain
ThiThur na jaen hum is ijz ki bulandi par
hum apni sath se niche utarne aae hain
ye bund KHun ki lauh-e-kitab-e-ruKH ke liye
ye til sar-e-lab-o-ruKHsar dharne aae hain
laga rahe hain abhi KHeme gham ki wadi mein
hum is pahaD se daman ko bharne aae hain
tere labon ko mili hai shaguftagi gul ki
hamari aankh ke hisse mein jharne aae hain
'nisar' band-e-qaba kholna muhaal na tha
so hum jamal-e-qaba band karne aae hain
Ghazal
Yahi nahin ki faqat pyar karne aae hain
Aaga nisaar