yahi nahin ki bas gham-e-safar hamare sath hai
mizaj-e-shabnam o dil-e-sharar hamare sath hai
unhen kulah-e-KHwajgi pe naz hai hua kare
ye anjuman ki anjuman magar hamare sath hai
shab-e-safar ka gham hi kya shab-e-safar hai muKHtasar
abhi to ek dal sa rahbar hamare sath hai
tumhaare damanon mein sang-ha-e-nau-ba-nau sahi
KHayal-e-indimal-e-zaKHm-e-sar hamare sath hai
wo log aur un ki wo dukan to baDh gai magar
sitamgaron ki taba shishagar hamare sath hai
jise qadam qadam pe KHud hi hajat-e-dawa na ho
batao koi aisa chaara-gar hamare sath hai
nahin agar tufang o tir o tesha o tabar to kya
dil-e-jawan junun-e-mo'atabar hamare sath hai
Ghazal
Yahi nahin ki bas gham-e-safar hamare sath hai
Mujeeb Khairabadi