اردو हिंदी
Yahi kahti laili-e-soKHta-jaan nahin khati adab se KHuda ki qasam | Shaahi Shayari
yahi kahti laili-e-soKHta-jaan nahin khati adab se KHuda ki qasam

Ghazal

Yahi kahti laili-e-soKHta-jaan nahin khati adab se KHuda ki qasam

Mirza Mohammad Taqi Hawas

;

yahi kahti laili-e-soKHta-jaan nahin khati adab se KHuda ki qasam
gham-e-qais siwa mujhe gham nahin kuchh usi kushta-e-naz-o-ada ki qasam

kabhi kahta tha qais ghazalon se ja kaho naqa yan se kidhar ko gaya
kabhi kahta tha tu hi batae saba tujhe laila ki zulf-e-dota ki qasam

tere kushta-e-gham ka hai haal batar yahi kahiyo jo jaana ho tera udhar
tujhe qasid-e-mauj-e-nasim-e-sahar meri hijr ki shab ki buka ki qasam

aai 'hawas' mujhe phulon ki bu kabhi baiTha na ja ke main bar-lab-e-ju
meri tangi-e-dil to gai na kabhu mujhe bagh-e-jahan ke faza ki qasam