yahi justuju ka kamal hai yahi aagahi ki talash hai
use samho apni talash tum jo tumhein kisi ki talash hai
yahi aaina hai wo aaina jo liye hai jalwa-e-agahi
ye jo shaeri ka shuur hai ye payambari ki talash hai
wo masarraton ka hujum kya jo tawaf-e-ishq-o-tarab kare
wo KHushi jo auron ko de sakun mujhe us KHushi ki talash hai
ye jo pastiyan hain uruj ki ye tabahiyan jo hain zehn ki
koi rahbar hai to aae phir unhen rahbari ki talash hai
meri zindagi meri shaeri hai haqiqaton ka ek aaina
ye 'matin' gham jo aziz hai ye meri kabhi ki talash hai
Ghazal
Yahi justuju ka kamal hai yahi aagahi ki talash hai
Matin Niazi