yahi ek nibah ki shakl hai wo jafa karen main wafa karun
agar is pe bhi na nibhi to phir mere kirdgar main kya karun
hai mohabbat aisi bandhi girah jo na ek hath se khul sake
koi ahd toDe kare dagha mera farz hai ki wafa karun
main hazar baaton mein ek bhi kabhi un se khul ke na kah saka
agar ek tarah ki baat ho to hazar tarah ada karun
jo hansa to surat-e-zaKHm-e-dil ki lahu ke qatre Tapak paDe
main sitam-rasida hun 'arzu' na bahaun ashk to kya karun
Ghazal
Yahi ek nibah ki shakl hai wo jafa karen main wafa karun
Arzoo Lakhnavi