اردو हिंदी
Yahi ek jism-e-fani jawedani ka ahata karne wala hai | Shaahi Shayari
yahi ek jism-e-fani jawedani ka ahata karne wala hai

Ghazal

Yahi ek jism-e-fani jawedani ka ahata karne wala hai

Ainuddin Azim

;

yahi ek jism-e-fani jawedani ka ahata karne wala hai
kirae ka makan hi la-makani ka ahata karne wala hai

Thahar jao ghaDi bhar dhaDkanon is tez-rau ka jaeza le lun
sukun andar ka bahar ki rawani ka ahata karne wala hai

ise aansu samajh kar mat girao rahne do palkon pe hi goya
yahi qatra tumhaari be-zabani ka ahata karne wala hai

gila barson ka hai jitni safai doge utna tul pakDega
ab harf-e-mazarat hi lantarani ka ahata karne wala hai

in aankhon mein ghazal ka wo mukammal istiara hai ki jo 'azim'
KHutut-e-jism ke lafz-o-maani ka ahata karne wala hai