yahi ek baat saqi ko batane ki zarurat hai
hamare qurb mein ek baada-KHane ki zarurat hai
kahan jaen tere mastane ai saqi kahan jaen
tere hi sae mein maston ko aane ki zarurat hai
KHuda ke samne sar ko uThane se hai kya hasil
KHuda ke samne sar ko jhukane ki zarurat hai
ghaTaen ghir ke aai hain sar-e-mai-KHana ai saqi
hamein ab jam bhar bhar kar pilane ki zarurat hai
jo hain mare hue ranj-o-gham-o-alam ke ai 'raaz'
unhen mai-KHane mein ek jam uThane ki zarurat hai

Ghazal
Yahi ek baat saqi ko batane ki zarurat hai
Raaz Layalpuri