yahi hota hai akasr zindagi mein
ki thoDa gham bhi shamil ho KHushi mein
udas aankhon mein palkon ki nami mein
jhalakti thi wafa bhi be-ruKHi mein
wahan dushwar tha KHud se bhi milna
talash-e-yar kya ho be-KHudi mein
gile-shikwe to hote hi rahenge
chalo kuchh der baiThen chandni mein
andheron se shikayat ho to kya ho
dikhai kuchh na de jab raushni mein
na koi aarzu dil mein shifa ki
na hasil hai shifa chaaragari mein
misal 'arjun' ki rakhna yaad har dam
bahut aage baDhoge zindagi mein
ghanimat hai ki ab bhi dekhte hain
hum apne-ap ko is ajnabi mein
'KHayal' itne na the kam-zarf pahle
baDi gahrai thi tishna-labi mein

Ghazal
Yahi hota hai akasr zindagi mein
Priyadarshi Thakur u0027Khayalu0027