yahi hona tha aur hua jaanan
ho gae hum juda juda jaanan
koi aasan na thi teri furqat
main haqiqat mein ro paDa jaanan
tere andar hun main hi main har su
mere andar tu ja-ba-ja jaanan
hans ke milta hai har koi aise
jaise har shaKHs ho KHafa jaanan
ab main chalta hun chal KHuda-hafiz
shahr ye wo nahin raha jaanan
Ghazal
Yahi hona tha aur hua jaanan
Arif Ishtiaque